Tooti ha meri neend,magar tum ko is se kia
bajtay rahen hawaon se dar,tum ko is se kia
tum mauj mauj misl e saba ghoomtay raho
kt jaen meri soch k par,tum ko is se kia
auron k haath thaamo,unhen rasta dikhao
man bhool jaoon apna hi ghar,tum ko is se kia
abr e gurez pa ko barasnay se kia garz
seepi main bn na pae gohar,tum ko is se kia
le jaen mujhko maal e ganimat k sath adu
tum ne to daal di ha sapar,tum ko is se kia
tum ne to thak k dasht main khaimay laga liae
tanha katay kisi ka safar,tum ko is se kia

Tag :
poetry in urdu
0 Leave a Reply " Tooti ha meri neend,magar tum ko is se kia bajtay rahen hawaon se dar,tum ko is se kia "