Bandh Lein Hath Pe – Washi Shah Poetry

Baandh lein haath pe, seene pe sajaa lein tum ko jee mein aata hai ki taaveez bana lein tum ko.
Phir tumhen roz sanwaaren, tumhen badhta dekhen kyon na aangan mein chambeli sa laga lein tum ko.
Jaise baalon mein koi phool chuna karta hai ghar ke guldaan mein phool sa saja lein tum ko.
Kya ajab khwaahish uthti hain humare dil mein kar ke munna sa, hawaaon mein uchhaalen tum ko.
Iss qadar toot kar tum par pyaar aata hai apni baahon mein bharen maar hi daalen tum ko.
Kabhi khwaabon ki tarha aankh ke parde mein raho kabhi khwaahish ki tarha dil mein bula lein tum ko.
Hai tumhare liye kuchh aisi aqeedat dil mein apne haathon mein dua sa utha lein tum ko.
Jaan dene ki ijaazat bhi nahin dete ho warna mar jaayen abhi mar ke manaa lein tum ko.
Jis tarha raat ke seene mein hai mahtaab ka noor apne taareek makaanon mein sajaa lein tum ko.
Ab toh bas ek hi khwaahish hai kisi mod par tum
hum ko bikhre hue mil jaao, sambhaalen tum ko. !
0 Leave a Reply "Bandh Lein Hath Pe – Washi Shah Poetry"
Back To Top